Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye
Yunhi Umar Saari Guzaar Di
Yunhi Zindagi Ke Sitam Sahe
Kabhi Nind Mein Kabhi Hosh Mein
Tu Jahan Mila Tujhe Dekh Kar
Na Nazar Mili Na Zuban Hilii
Yunhi Sar Jhuka Ke Guzar Gaye
Kabhi Zulf Par Kabhi Chashm Par
Kabhi Tere Haseen Wajood Par
Jo Pasand Thay Meri Kitab Mein
Woh Sher Saray Bikhar Gaye
Mujhe Yaad Hai Kabhi Ek The
Magar Aj Hum Hain Juda Juda
Woh Juda Huye To Sanwar Gaye
Hum Juda Huye To Bikhar Gaye
Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par
Kabhi Unke Dar Kabhi Dar Badar
Ghum-E-Aashiqi Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye. .!!
कभी अर्श पर कभी फर्श पर | Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par
कभी रुक गए कभी चल दिये
कभी चलते चलते भटक गये
यूँही उम्र सारी गुज़ार दी
यूँही ज़िन्दगी के सितम सहे
कभी नींद में कभी होश में
तू जहाँ मिला तुझे देख कर
न नज़र मिली न ज़ुबान हिली
यूँहीं सर झुका के गुज़र गये
कभी ज़ुल्फ़ पर कभी चश्म पर
कभी तेरे हसीं वज़ूद पर
जो पसंद थे मेरी किताब में
वो शेर सारे बिख़र गए
मुझे याद है कभी एक थे
मगर आज हम हैं जुदा जुदा
वो जुदा हुये तो संवर गये
हम जुदा हुये तो बिखर गए
कभी अर्श पर कभी फ़र्श पर
कभी उनके दर कभी दर-बदर
ग़म-ए-आशिकी तेरा शुक्रिया
हम कहाँ कहाँ से गुज़र गये. .!!
Read More Ghazal & Shayari. . .